Saturday 3 December 2011

Prem verma

Is Jahan Me Mohabt Kash Na Hoti,
To Safar-E-Zindagi Me Itni Mithas Na Hoti,
Agar Milti Bewafaon Ko Saza Me Mout,
To Dewanoo Ki Kabren Yun Udaas Na Hoti




 Aagosh me tanhaiyon ki jab main jaane laga
Wo bhula shakhs mujhe phir yaad aane laga
Chaha tha maine jise dil ki gehraiyon se
Har sitam uska reh reh kar mujhe tadpaane laga
Karke wafa bhi use apna bana na sake
Phir kyon uska khyaal meri har dhadkan pe apna haq jatane laga?


 Dil ka haal kisi ko bataa nahi paaye
Wafaa karke bhi hum nibha nahi paaye
Aap to chale gaye hume raulaate huye
Hum aise gam me apko bhulaa nahi paye



 Mere armaano ko  palako se baha na dena
Sajaa ke rakhnaa mitaa na denaa
Main mar jaungaa inke tutane se
Ise waham samajh ke bhulaa na denaa



 Meri khamoshi ka matalb mera gam nahi
Kabhi karib the hum aaj faasle kam nahi
Main to mar hi jaungaa apko yaad karte-karte
Par aaj ye bhi keh do mere marne ka apko gam nhi



 Kisi ko pyaar me kitnaa rulaoge
Uske gam me khud bhi aansu bahaoge
Wo majabur hai apni bewasi ke karan
Bina uske aap khud ko tanhaa paoge


 Main kab jiyaa zamaane ke liye
Main taras gayaa apko paane ke liye
Pyar maraa nahi zindaa hai meraa
Yahi gam kaafi hai mujhe rulaane ke liye



 Muje apka agar thoda bhi sahara miltaa
Main bhawar me na fastaa kinaara miltaa
Apne hi chhod diyaa sath humaara
Warnaa har janam me saath humaara miltaa



 Aaj aapke pyar mein kuch kami dekhi
chand ki chandni mein kuch nami dekhi
udas hokar laut aye hum apne ghar
jab mehfil apki gairo se saji dekhi



 dard hai dil mein par iska ehsas nahi hota
rota hai dil jab vo pass nahi hota
barbaad ho gaye hum unki mohabbat mein
aur vo kehte hai is tarah pyaar nahi hota


 Log kehtein hai ki khush raha karo
Hamne kaha khush rehne ki wajah to do
Log kehtein hai ki kisi ko apna bana lo
hamne kaha nakhushi wajah hi to hai woh



 Chaand ki judai me asman bhi tadap gaya
uski ek jhalak pane ko har sitara taras gaya
baadal ke dard ka kya kahun
wo bhi haste haste baras gaya

0 comments:

Post a Comment

 

Subscribe to our Newsletter

Contact our Support

Email us: youremail@gmail.com

Our Team Memebers